Wasim Barelvi's Shayari at IIT Mumbai
Nazar me aaenge chechre na jane kis kis ke,
duaeen mangiye mehfil me roshni kam ho,
roshni se hain daman bachaye,
kitne khuddar hote hain saae
नज़र में आएँगे चेहरे न जाने किस किस के ,
दुआएँ मनइये महफ़िल में रौशनी काम हो ,
रौशनी से दामन बचाए,
कितने खुद्दार होते हैं साए
रौशनी से दामन बचाए,
कितने खुद्दार होते हैं साए
mujhko gunehgar kahe aur saza na de
itna bhi ikhteyar kisi ko khuda na de
मुझको गुनेहगार कहे और सज़ा ना दे,
इतना भी इख़्तेयार किसी को खुदा न दे
इतना भी इख़्तेयार किसी को खुदा न दे
mian bolta gaya hoon, wo sunta raha khamosh
aise bhi meri har hui hai kabhi kabhi
chhoti chhoti baatein karke bade kahan ho jaoge
patli galiyon se nikloge to khuli sadak pe aaoge
मैं बोलता गया हूँ, वो सुनता रहा ख़ामोश
ऐसे भी मेरी हार हुए है कभी कभी
छोटी छोटी बातें करके बड़े कहाँ हो जाओगे
पतली गलियों से निकलोगे तो खुली सड़क पे आओगे
wo jo kehte hian kahin pyar na hone denge
hum unhe rah ki deewar nahi hone denge
tu jise chahe use raundke aage badh jae
hum teri itni bhi raftaar na hone denge
वो जो कहते हैं कहीं प्यार ना होने देंगे
हम उन्हें राह की दीवार नहीं होने देंगे
तू जिसे चाहे उसे रौंधके आगे बढ़ जाए
हम तेरी इतनी भी रफ़्तार न होने देंगे
lehrati balkhati chidiya hawa se kehti lagti hai
udne par aao to duniya kitni chhoti lagti hai
ye soch kar koi ehd-e-wafa karo humse (mohobbat ka wada)
hum ek wade pe umre guzar denge
tum meri taraf dekhna chodo to bataun
har shaks tumhari hi taraf dekh raha hai
main usko aasuon se likh raha hoon
ki mere baad koi padh na pae
tumhara saath bhi choota, tum ajnabi bhi hue
par zamana ab bhi tumhe mujhme dhund raha hai
duri hui to unse kareeb aur hum hue
are ye kaise faasle the jo badhne ke kam hue
pyar ke bare me itna nahi socha jata
usse kehdo meri aankhon ka safar khatam are
tujhe pane ki koshish mein kuch itna kho chuka hu main
ki tu mil bhi jae agar, to milne ka gham hoga
Usi ko tod raha hai jise banana hai
are wo jaanta hi nahi kaise ghar chalana hai
mian uski kamiyon pe ungli nahi utha sakta
mujhe to aakhri dum tak use nibhana hai
koi bhi shaakh kabhi milkiyat nahi hoti
jahan par baithe parinda wahi thikana hai
tum apne paas rakho apne surajon ka hisab
mujhe to aakhri ghar tak diya jalana hai
tu ambar ki aankh ka tara mere choote haath
sajan main bhool gai ye baat
ki tujhko saare man se chaha, chaha sare tan se
apne poore pan se chaha aur adhure pan se
paani ki ek bund kahan, aur kahan bhari barsaat
sajan main bhool gai ye baat
janam janam mangungi tumko, tu mujhko thukrana
main maati mein mil jaungi, tu maati ho jana
leher ki aage aage kya ek chhote tinke ki aukat
sajan main bhool gai ye baat
--
If you like this do read Javed Akhtar's poem "main bhool jaun tumhe", click here
This is the video for Wasim Barelvi's shayari
Comments
Post a Comment